Jo kuch Mhabharat me hai, wahi sarvatr hai. Manushya ke man me aesa kuch bhi nahin jo Mahabharat me maujood na ho. Chetna ke sabhi tal Mahabharat me ubharkar saamne aate hain - Moorkhtaaein bhi, kapat bhi, aur geeta ka prakash bhi.
Hum jo kuch hain, wo sab Mahabharat me maujood hai. Humaari saari malintaaein bhi, aur un malintaaon ke kendr me baithi malintaaon se asparshit Atma bhi.Theek usi tareeke se Mahabharat me kaam, krodh, chhal, kapat, sab paate hain aap, aur Geeta ko bhi paate hain. Malin man ko bhi paate hain aur Geetaroopi Atma ko bhi paate hain.
Yeh pustak Acharya Prashant Ji ki 'Mahabharat' mahakavya par die gaye vyaakhyaanon ka sankalan hai. Acharya Ji baaton ko jas-ka-tas rakhte hain to wo paatron ki chaaritrik durbaltaaon ka khulkar makhaul bhi udaate hain aur jahan jo poorjniya hai uska dil kholkar vandan bhi karte hain.
Nivedan hai ki aap Bharat ke is shreshttam mahakavya ko sahi arthon me samjhein, aur iske prachlit kthaanakon ke peeche chipe rahasya aur seekh se parichit hone ka prayas karein.