kuch yahan bewajah nahin hota
aag ho to dhuaan bhi hota hai
*********
haath mein to hain khilone par nahin hai khelne ko
ek muflis tifl ka samaan bikne ke liye hai
*********
hum tamannaon ke bahlaave mein aa to jaayen lekin
shauq vo baaki kahaan vo hausla laayein kahaan se
*********
koii duniya mein aa kar tang to koii na jaane se
sabhi insaa.n pareshaa.n hain kisi zaati bahaane se
*********
jo bhi likha tha hum ne vo aakhir ganwaana hi pada
jab raat aayi to kitaabon ko jalana hi pada
*********
Related Subjects
Poetry