Hum jin Durga Maa ki poora karte hain arthaat mahishaasurmardini, unka charitr kahan se aaya hai? Yeh asur sanhaar humaare dainik jeevan se kaise sambandhit hai?
In sabka uttar hai Shridurgasaptshati granth.
Jo sthaan Shreemadbhagavadgita ka Vedant me hai, wahi sthaan Shridurgasaptshati ka shaakt samprdaay me hai.
Aur devi ki upasna kai arthon me humaare lie zyada upyogi hai kyonki shiv to nirakar hain, unse kya sambandh bana sakte hain hum? Sambandh to saguni prakriti se hi ban sakta hai. Aur yahi sambandh nirdhaarit karega ki hum bhavsagar se tarenge ki bhavsagar me doobenge.
Shridurgasaptshati me terah adhyay aur saat-sau shlok hain. Inmein teen charitr hain arthaat teen tarah ke rakshas jo humaare teen tarah ke agyaan - dambh, mad aur moh ke prateek hain.
In rakshason ka sanhaar karne wali devi prakriti ke teen guno ka pratinidhitv karti hain. Pratham charitr me tamoguni mahakali hain, dusre charitr me rajoguni mahalakshmi aur teesre charitr me satoguni mahasaraswati hain. Navraatri me deshbhar me jin Maa Durga ki poojaa kee jaati hai veh Mahishasurmardani ka roop dusre charitr se aataa hai.
Acharya Ji ne teeno charitron ko bade saral, sugam bhaasha me vistrat aur rochak tareeke se samjhaya hai.
Yeh pustak aapko devi upasna ka mahatv to bataegi hi, saath-hi-saath devi upasna, jo keval karmkaand aur pakhand se bharpoor ek hulladbaazi ban gayi hai, uske viprit aapke hriday me Maa Durga ke prati ek sachchi shradhdha jaagrat karne me sahayak hogi.