"Shabdon ki Udan" ek bhavnaon se paripoorn kavya sangrah hai, jo jeevan ke vividh rangon, anubhavon aur bhavnatmak kshano ko sunder shabdon men pirota hai. Is sangrah men lekhak ne prem, pida, aasha, sangharsh, prakriti aur aatmchintan jaise vishayon ko gahrai se chhua hai. yah pustak keval kavitaon ka sanklan nahi, balki ek aatmiya yatra hai - jahan har kavita pathak ko ek naye vichar, anubhuti ya dristikon se prichit karati hai.
shabdon ki bunavat itni komal aur sajeev hai ki pathak savyam ko har pankti men smahit hota hua pata hai. chahe vah ek manoranjak kavita ho ya samaj par tikhi tippani karti koi chhand, har kavita apni khas pehchan aur prabhav chhorti hai.
yah kavya sangrah un pathkon ke liye hai jo shabdon ke madhyam se aatma ki aavaj sunna chahte hain, aur un udanon ka aanand lena chahte hain jo kalpna se lekar yatharth tak le jati hai.
Related Subjects
Poetry